Sunday, June 6, 2010

...begane ho gaye

Mehfil mein tanhayee ka, sabab kya batayein
roothe hue se aaj paimaane ho gaye;
kisi ko bhulayein itna hosh hi kahan hai
hum to khud se hi begaane ho gaye !

nahin lagti hai ab to chandni pehle si,
yatharth me khayalon ke thikaane ho gaye!
furkat to milti hai, milti nahin fursat
kehne ko khatm saare, bahaane ho gaye !!

Zindagi bahut tez hai, main hoon zara dheere
khud se milke dekha-hum puraane ho gaye
kaise batayein hum, kya haal hai zindagi ka
itni bheed mein bhi aaj, veerane ho gaye !!!

Sab chhupe se baithe hain, ek naqab chehro par,
dil ki baatein kiye to zamaane ho gaye,
lafzon ka nahin bharosa, matlab badal jate hain
main aankhein padhta hoon, shabd be-maane ho gaye !!!!


No comments: