Wednesday, October 8, 2008

MERI GIRLFRIENDS

badal raha hai zamaana, badal rahe hain trends.
badalte waqt ke saath main, badal raha hoon girlfriends.

pehli waali badi hi sundar, high society ki chick,
mujhpe thi all-out fida, aisi thi apun ki pick;
lekin wo bas impress thi, dil mein khula naa khaata,
maine proposal de maara, aur usne toda naata.

dooji ke kya haal kahoon, jaise meera bhakt shyaam ki,
din raat japti rehti thi wo, bas maala mere naam ki;
kuue-se gehre nainon se, wo darshan karti mere,
maine kaha-maaf kar bhaktan,laayak nahin main tere.

teesri bold n beautiful , par height mein thodi kam,
dost ko dil ka haal bataaya, wo nikli uska gham.
socha koi baat nahin,dosti par mohabbat qurban;
dost bhi kuchh keh na saka,kisi aur ki ban gayi jaan.

chauthi kabhi bhulaaye na bhoole, wo sundar susheel sa chehra
harpal jiski aankhon par, sharm-o-haya ka rehta pehraa;
uske pyaar mein jaane maine,kitni poems likh maari,
par dushman gang ki chaal se,meri mohabbat yahan bhi haari

paanchvi ko dekhte hi fida hua,par usko mujhse nafrat huyee,
main bhi deewano ka deewana, kam na meri himmat huyee
foota fir se love ka ankur , mehnat rang laa hi gayi,
uske baap ka hua transfer,shahar chhod wo chali gayi.

chhathi ne yaad dilaaya mujhko,yaaro chhathi ka doodh
yun peechhe pad gayi mere,jaise ho wo koi bhoot;
main to usse kanni katoon,par wo rehti hardam peechhe,
jab tak usne haar na maani, main bhaga bas aankhen meeche,

saatvi saat suron ka sangam,par usko koi jaane na,
tanhayi mein jee bhar mujhse bole,bheed mein pehchaane na;
main samjha dhadkan hai meri,lekin wo thi ek parchhaayi,
mujhse judi rahi hamesha, par chhaya kab haath hai aayi !

aathvi ek pyaari pari thi,jaise doodh mein dhuli huyi,
uski to gaali bhi lagti,jaise shahad mein ghuli huyi;
par wo thi kuchh chanchal si,jaane kitne dilon se kheli,
sab usse bhag kar settle huye,  par wo aj bhi hai akeli.

nauvi yun to thi aishwarya,par kitaabon se use fursat nahin,
ghar jaane ki rehti jaldi,date par jab bhi jaate kahin;
exams agar paas aa jayen,mujhko jhat se bhool jayegi,
kitaabon se hi karegi shaadi,unhin se rishte nibhaayegi.

dasween ne mujhe maari line,maine counter-attack kiya,
aage-peechhe chakkar kaatkar  , usne mujhko flat kiya;
samjhne lagi fir khud ko heroine,uske bhaav badhe hi-fi,
maine kaha bahut hua ji  , ok ab tata bye-bye !

ye thi apun ki love story,thodi si incomplete,
11vi ke liye entrance hai,bina fees karo compete;
i believe in pyar mohabbat, pyar do aur pyaar paao,
12vi is also on cards, kabhi na apna bhaav badhao !