Sunday, May 17, 2009

Kahin nahin

Insaanon ke beech aaj, bas rishtey reh gaye hain,
kisi bhi bandhan mein, ab pyaar kahin nahin .
sab akele reh gaye hain, is duniyaan ki bheed mein,
kahin bhi chale jao, sukoon yaar kahin nahin !

Woh madhoshi ka aalam,
woh chanchal man ke sapne;
ishk mein bhi ab woh,
khumaaar kahin nahin.
saath baith jinke hum,
baantate the khushi aur gham,
ab to yaaron ki bhi,
woh kataar kahin nahin !!

raah dekhte the kabhi ,
jo raaste humaare liye;
un raahon par humara,
ab akhtiyaar kahin nahin.
saara jahaan lagta tha,
kabhi sirf mere liye ;
aur aaj lagta hai mujh sa,
koi lachaar kahin nahin !!!

Monday, May 11, 2009

Jaane hoon kahaan main?

Saara jahaan tha jab mashroof,
khushiyon ke samaan mein;
kyun khada tha main akela,
barbaadiyon ke jahaan mein !

Itne bahaa diye maine aansoo,
ghamon ke samandar mein;
ik boond bhi na bachi,
khushiyon ke aasmaan mein !!

kabhi dekhta hoon jo aaina gar,
to khud ko dhoondhta hoon;
aaine mein bhi nahin tha,
na jaane hoon kahaan main ???

kabhi sochta hoon ki main,
sochon mein hi reh gaya hoon bas;
jaane kab se gaya nahin hoon main,
angaaron bhare, haqeekat ke gulistaan mein !!!

KYAA KAREN...?

Humne kiya kayee baar,
izhaar-e-ishk unse yaar;
bataayaa ki nahin aata,
bin tere dil ko karaar.
Woh sunte nahin, kya karen...?

maine khamoshi se kahaa,
kahaa aankhon hi aankhon mein;
kayee baar kiya isharaa,
maine baaton hi baaton mein.
woh samjhe nahin, kya karen...??

kayee baar maine toka,
unko aate-jaate roka;
aur dil par har-baar,
unhen bijli giraate-roka.
woh rukte nahin, kya karen...???

Woh aaye mere khwabon mein,
maine wahaan bhi batayaa;
kitni baar kiya hai ghayal,
kaise-kaise mujhe sataaya.
Woh maane nahin, kya karen...???? !