Sunday, May 17, 2009

Kahin nahin

Insaanon ke beech aaj, bas rishtey reh gaye hain,
kisi bhi bandhan mein, ab pyaar kahin nahin .
sab akele reh gaye hain, is duniyaan ki bheed mein,
kahin bhi chale jao, sukoon yaar kahin nahin !

Woh madhoshi ka aalam,
woh chanchal man ke sapne;
ishk mein bhi ab woh,
khumaaar kahin nahin.
saath baith jinke hum,
baantate the khushi aur gham,
ab to yaaron ki bhi,
woh kataar kahin nahin !!

raah dekhte the kabhi ,
jo raaste humaare liye;
un raahon par humara,
ab akhtiyaar kahin nahin.
saara jahaan lagta tha,
kabhi sirf mere liye ;
aur aaj lagta hai mujh sa,
koi lachaar kahin nahin !!!

No comments: