Sunday, June 29, 2008

...REH GAYE

KEH HUM SAKE NAHIN, AUR TUMNE BHI NA SAMJHA;
PYAAR HUM AANKHON SE HI, JATATE REH GAYE !
HAR BAAT AAPKI HUMNE, SAR AANKHON PAR RAKHI;
AUR AAP HUMKO YUN HI, SATATE REH GAYE !

Kya tha tumhare man mein, tumne bhi na jaana ;
Qayamat ka din tha wo, jab hum izhar kar baithe !
Yaadon aur Khwabon mein, ek aks reh gaya bas ;
Aap yun chale gaye , ki hum bhulaate reh gaye !

Aaj aap laute hain fir se, jaane kya sochkar ;
yeh khayal humko raat bhar, jagate reh gaye !
Ab door hi rehna hai, azad panchhi hain hum;
bekaar hi wo aaj humko ,  manate reh gaye !




No comments: