Monday, August 24, 2009

JAWAAB DE...!

Haan kar ya na kar, Kuchh to jawaab de !
Paagal keh de ya deewana, Kuch to khitaab de !!
Zindagi de de mujhe ya, jaan hi le le meri !
Teri yaad mein jaagi raaton ka,Kuchh to hisaab de !!

Kuchh keh nahin sakta, meri aankhon ko hi sun !
Khamoshi bhi suno meri, bas hogi pyaar ki dhun !!
Kyun hai tu pareshaa(n), ja sab kuchh bhool ja ab !
Bhool ja saare gham, ashkon ka mujhe sailaab de !!